Friday, April 22, 2011

Aur Kabtak?

के जल रही थी आग एक चमन था फूलों का 
नज़र नहीं आता  नज़ारा  जलते  चूल्हों का 
कुछ खौफ़ हैं खाए अब दिया कौन जलाए 
उसकी ही लपट ने मेरा आँगन जला दिया.

जो हुआ करती थी इबादत उस लौ से कभी 
उस मूरत को खंडित करके कल मोल लगा दिया 
आँख भी थी आवाज़ भी थी राहों की आगाज़ भी थी 
अपनों ने नैन मूँद लिए आवाज़ को कुछ ने दबा दिया.

ऐसा नहीं था के सन्नाटा था 
भीड़ भी थी इंसान भी थे 
पर हाथ जलाये कौन अपना 
कुरसी  कैसे पकड़ेंगे
हाथ सेक कर चले गए. 

कुछ लक्ष्मी के भक्त थे 
कुछ ने मौन व्रत था ग्रहण किया.

जो आज़ाद न था ये देश गैरों के हाथों लुटता था 
अब अपनों का अम्बार है 
पर अपनों की गुहार है 
जो था बड़ा नायाब कितना राख बना दिया.

आओ फिर से करें फ़क्र ये ही वो हिंदुस्तान है 
पाए जाते कम इंसान हैं 
रोज़ है यहाँ आबरू लुटती-रोज़ कितनी बली हैं चढ़ती 
कहीं बच्चों में भी शैतान है 
कुछ बूढ़े भी हैवान हैं

एक औरत को आज़ाद किया 
एक को आघात किया 
हाँ इस चमन के ही तो चिराग थे 
के अपना आँगन जला दिया.
एक ऐसा अंधकार किया 
के डरता है जलता दिया.





19-april 2011


Good Morning to all
kuch isi tarhan se hi hum sab din ki shuruaat karte hain.Par ye morning sab ke liye good hai aisa kahan hota hai.Theek hai sab ki life mein khushiyan aur gham dono rehte hain par un ghamon ka kya jo itne aam hain ki jab tak shayad hamare kisi apne ya hum par na beete hum parwah hi nahin karte.
12 April ko ek National level ki athlete Arunima Sinha (Sonu) ko kuch ladko ne Bareilly mein train mein loot liya.uski jewellery aur rupaye cheen ne ki koshish ki to ladki ke virodh karne par un ladkon ne usey train se neeche phek diya.uska ek per kat gaya.Wah kya baat hai chup rehti to bhi sehti agar aawaz uthai ladne ki koshish ki to bhi ye haivaniyat huyi uske sath.Bas IPL aur World cup mein hi jashn manane se bharat ki tasveer saamne nahin aati ye bhi ek chehra hai Hindustaniyon ka aur aisi vardaatein bahaut aam hain.To kaun zimmedar hai iska POLICE,ADMINISTRATION, SARKAAR, YE GANDE BHEDIYE ya HUM? kYA hum roz ki in khabron ko importance dete hain? aisi hindustan ki shakl dekhkar haste ya rote hain? ekjut hokar jaise world cup jeetne ke dauran poora bharat ek tha????????????Sabne aakar tareef kari ki waah beta tumne himmat dikhai hum tumhare sath hain par ab kisi ka bhi sath ya koi financial help usey wo nahin de sakti jo usne khoya.Aaj newspaper mein pada ki uski haalat gambhir hai.Samajh nahin aata kya dua karu uske liye wo zinda rahe ya..... uska career,personal life sab to kharab ho chuka.Aur upar se logon ki aankhon mein wo roz dekhegi apne bechaare hone ka dard ghaav to phir bhi bhar jaate hain par kuch ghaav apke dil aur dimaag ko todh dete hain.
Waise hamare INDIA ko manna padega kuch chand awara ladko ki POWER dekhne wali hai itna kuch ho gaya n still NOBODY knows ki wo kahan hain kaun they.Aur police ya administration itne KAMZOR  ki bechaare kya karein DHoond rahe hain......

Wednesday, April 20, 2011

kya sharmana thoda aur lijiye...


Hey Friends gud morning
Hummm to aaj kya khaya aapne apne Break fast mein-stuffed parathe,poori kachori,chhole bhatoore,nahin to samosa khaya hoga ya maggi.To ye to ho gaya kuch logon ka menu par kuch log to diet pe hain jo subha ka nashta karte hi nahin ya karte hain to sirf biscuit and tea sugarfree and fat free. Right? Wrong-Sabse pehle to first category ko main bata doon ki kabhi kabhi aap fried ya deep fried kha sakte hain kabhi kabhi matlab once in a month or twice par aksar is tarhan ki diet agar aapka lifestyle hai to satark ho jaayein.Kabhi bacchon ya ghar mein aaye mehmaano ka bahana bana kar apna waist na badaaye.Ab aap janab kahaenge ki main to patla ya patli hoon bahaut kitna bhi khaaoon kuch body par asar nahin karta.So i can have anything anytime but this a wrong attitude.agar aap bahaut slim aur weak hain to bhi unnecessary is tarhan ki diet apko aur beemariyon ki daawat de sakti hai to aise mein aap dieting na karein par healthy diet apnaye like include sum protein-milk,daals etc.agar milk se apko problem hai to milk ki koi bhi form ka intake karein jaise ki curd ya lassi ya ghar par bane shakes ya dhoodh ki bani kheer etc.Green vegetables zaroor lein aur exercise,gym,walk ya sports jaisi activity karte rahein agar kuch logon ki tarhan aapke mann ki bhi yehi galat dharna bani huyi hai that we r already so slim we need not to do any physical activity kyuki "bhaya aur patla thodi hona hai" :).to is baat ko dimaag se nikaal dein.Apki koi bhi physical activity apko chust-durust banati hai apka weight maintain rahega jab tak diet maintain hai no worry u will not get over slim with physical activity.Par agar weakness badti ja rahi hai aur is tarhan ki normal diet kargar nahin hai to doctor se consult zaroor karein ho sakta hai ki harmonal imbalance ya kisi aur wajah se apka weight kam hota ja raha ho.Ya ideal weight se bahaut kam ho.Market mein aaye pills ya protein diet apne bootey par na lekar pehle doctor se prescribe kara lein.
Aise hi jinka khaya piya kahan body mein gayab ho jaata hai pata nahin chalta waale logon ko dekhkar aksar kuch log zada hi khaate hain aur galat hi sochte hain ki uski body par to yar koi asar nahin hota to hum bhi kha lete hain.Yehi hota hai na office mein kisi colleague ko dekhkar ya apko aaj apne school ke kisi classmate ka dhyan aaya hoga ya pados wali manju aunty har kitty party mein plate bhar ke khati hain par dekhiye kitni slim hain.Arey to kya sharmana thoda aur liijiye.To friends ye bhi ek category hai Influential people ki.To agar aap bhi is category mein fall karte hain to be careful.Har kisi ki maansik -shareerik kshamta alag hoti hai,weight badne ya girne ke causes bhi alag alag.Simple jaise hum kehte hain kisi ki body ko lagta hai to kisi ko nahin.For eg-kuch logon ko tension mein zada khaane ki aadat hoti hai aur unka weight gain hota hai.Par kuch ka tension mein weight loss hota hai.Isliye kabhi bhi Copy ya compare na karein.

Haan ji main aap ke paas hi aa rahi hoon aap to diet pe hain.To skip kar lete hain kabhi khaya- kabhi nahin khaya.Ya phir Breakfast heavy kiya ab seedha raat mein ya shaam mein khana hoga poora din kuch khaya hi nahin uske baad.Aisi hi kuch aam lines hum folow karte hain dieting karte waqt.First of all agar aap kisi dietician ya health centres se consult kar rahe hain to dekh lein ki wo apko suit karta hai ya nahin.Coz kuch health centres aur dietician sirf paisa kamane ki hodh mein apki health bigad dete hain But if it suits u then go on and follw them.Par agar aap khud hi apni meals skip kar rahe hain to isse bachein Din mein kam se kam 4 meals lein aur apni diet mein fibre,green veg,kuch din boiled food lein I know kuch ko lag raha hoga boiled kam masala kyu??To friends note karna ki jab bhi hum zada spicy ya tasty food khaate hain to bhookh badh jaati hai aur jitna simple khaate hain utna normal diet lete hain. Spicy food ya yummmyyy foods hamari taste buds ko trigger karte hain agar nahin pata to kabhi gaur kijiyega.Iske alawa Milk ya curd ko include zaroor karein diet mein aur chai ki khumari zara kam kar dein poore din mein sirf do baar hi chai lein if required. aur zada behter hoga agar Green tea le khud bhi aur bacchon ko bhi dein Its safe and Healthy,Sugar substitute ki jagah pheeki chai ya coffee ki aadat daalein coz inka over consumption bhi apki bhookh badata hai aur nuksan bhi pahauchata hai.And ofcourse U ALL KNOW meetha-tala-Rice- chod dein ji haan bilkul chod de atleast for two months aisa karein 1 hour daily early morning exercise karein ya walk karein phir jab weight loss ho jaaye to thoda thoda meetha ya chawal ya fried kha sakte hain but fried kabhi kabhi jaisa maine pehle bataya.Koshish karein kuch bhi karke early morning hi exercise karein rather than evening,asar zada hoga.
Dhyan rahe agar apka koi medical treatment chal raha hai ya koi health problem hai to apne doctor ki salaah se hi diet ya exercise ka step lein aur in baaton ko tabhi follow karein anyatha nahin.
                                               Change Ur Attitude And Love urself.
Till then Gud Bye Take care.

Friday, April 8, 2011

A FIGHT AGAINST CORRUPTION.

उठो  करो  अब  वार 
न  बैठो  यूँ  लाचार
बहुत हुआ यह भ्रष्टाचार 
बैठा है दीमक बनकर खा गया यह घर-संसार 
उनको भी विकलांग किया जो थे कभी बढ़े होशियार. 

कुर्सी का भूखा है ये  दौलत ही इसका चारा है 
हर तरह का यह करता व्यापार
जो थाणे में भी जा बैठे तो दर्ज न होए F.I.R

है शातिर भी और समझदार 
हर जगह हैं इसके ठेकेदार 
दो-चार हो तो कोई मार गिराए 
पर यहाँ लगा हुआ बाज़ार. 

इस बाज़ार में हम भी बिकते हैं 
कभी जान की बोली लगती है 
ईमान की बोली लगती है 
हम में से ही उठते खरीददार 
कैसे मिटेगा भ्रष्टाचार???

एक उखाड़े तो दूजा बो देता 
कोई लड़ते लड़ते सब खो देता 
खत्म न होती यह क़तार.........

तो पहले खुद से करो यह वादा यार 
अब करोगे न इसको  स्वीकार.
न बैठो यूँ  लाचार
मिटादो अब यह भ्रष्टाचार.