Good Morning to all
kuch isi tarhan se hi hum sab din ki shuruaat karte hain.Par ye morning sab ke liye good hai aisa kahan hota hai.Theek hai sab ki life mein khushiyan aur gham dono rehte hain par un ghamon ka kya jo itne aam hain ki jab tak shayad hamare kisi apne ya hum par na beete hum parwah hi nahin karte.
12 April ko ek National level ki athlete Arunima Sinha (Sonu) ko kuch ladko ne Bareilly mein train mein loot liya.uski jewellery aur rupaye cheen ne ki koshish ki to ladki ke virodh karne par un ladkon ne usey train se neeche phek diya.uska ek per kat gaya.Wah kya baat hai chup rehti to bhi sehti agar aawaz uthai ladne ki koshish ki to bhi ye haivaniyat huyi uske sath.Bas IPL aur World cup mein hi jashn manane se bharat ki tasveer saamne nahin aati ye bhi ek chehra hai Hindustaniyon ka aur aisi vardaatein bahaut aam hain.To kaun zimmedar hai iska POLICE,ADMINISTRATION, SARKAAR, YE GANDE BHEDIYE ya HUM? kYA hum roz ki in khabron ko importance dete hain? aisi hindustan ki shakl dekhkar haste ya rote hain? ekjut hokar jaise world cup jeetne ke dauran poora bharat ek tha????????????Sabne aakar tareef kari ki waah beta tumne himmat dikhai hum tumhare sath hain par ab kisi ka bhi sath ya koi financial help usey wo nahin de sakti jo usne khoya.Aaj newspaper mein pada ki uski haalat gambhir hai.Samajh nahin aata kya dua karu uske liye wo zinda rahe ya..... uska career,personal life sab to kharab ho chuka.Aur upar se logon ki aankhon mein wo roz dekhegi apne bechaare hone ka dard ghaav to phir bhi bhar jaate hain par kuch ghaav apke dil aur dimaag ko todh dete hain.
Waise hamare INDIA ko manna padega kuch chand awara ladko ki POWER dekhne wali hai itna kuch ho gaya n still NOBODY knows ki wo kahan hain kaun they.Aur police ya administration itne KAMZOR ki bechaare kya karein DHoond rahe hain......
No comments:
Post a Comment